section 2
Definitions
The Chhattisgarh Dakaiti aur Vyapaharan Prabhavit Kshetra Adhiniyam, 1981Is adhiniyam mein, jab tak sandarbh se anyatha apekshit na ho— (ka) “Sahita” se abhipret hai Dand Prakriya Sahita, 1973 (1974 ka s. 2); (kha) kisi dakaiti aur vyapaharan prabhavit kshetra ke sambandh mein “Daku” se abhipret hai koi aisa vyakti jo koi aisa aparadh, jo Bharatiya Dand Sahita, 1860 (1860 ka sa. 45) ki dhara 395 ke adheen dandniya hai, ya koi vinirdisht aparadh karta hai ya jisne koi aisa aparadh kiya hai ya yathasthit koi aisa vyakti jis par kisi aise aparadh ke kiye jane ka abhiyog lagaya gaya hai; “Dakaiti aur Vyapaharan Prabhavit Kshetra” se abhipret hai koi aisa kshetra jise dhara 3 ke adheen dakaiti aur vyapaharan prabhavit kshetra ghoshit kiya gaya hai; (ga-ga) “Vyapaharan” ke antargat apaharan aata hai; (gha) “Vishesh Nyayalaya” se abhipret hai dhara 6 ke adheen gathit vishesh nyayalaya; (da) “Vishesh Nyayadhish” se abhipret hai kisi vishesh nyayalaya ki adhyakshata karne ke liye dhara 6 ki updhara (2) ke adheen niyukt kiya gaya koi nyayadhish; (cha) “Vinirdisht Aparadh” se abhipret hai— (ek) Anusuchi mein vinirdisht koi aparadh jo dhara 3 ke adheen ghoshit kshetra ke sambandh mein kiya gaya ho jo dakaiti ya vyapaharan kiye jane ka bhagrup ho ya usse udbhut hota ho ya usse sansakt ho; (do) Koi aisa aparadh jiske liye is adhiniyam ki dhara 9, 11 aur 12 ke adheen dand ka upbandh kiya gaya hai; (teen) Bharatiya Dand Sahita, 1860 (1860 ka sa. 45) ki dhara 212, 216, 216-A, 311, 347, 392, 393, 394, 395, 396, 397, 398, 399, 402 tatha 412 ke adheen dandniya koi aparadh jo dhara 3 adheen ghoshit kiye gaye kisi kshetra ke sambandh mein sandarbh mein kiya gaya ho; aur uske antargat updhara (ek), (do) aur (teen) mein vinirdisht aparadhon mein se kisi aparadh ka dushpreran ya aise kisi aparadh ke kiye jane ka prayatna aata hai; (chha) Un shabdon tatha abhivyaktiyon ke, jo is adhiniyam mein prayog mein layi gayi hai kintu paribhashit nahin ki gayi hai aur jo Sahita mein paribhashit ki gayi hai, vahi arth honge jo unke liye Sahita mein ya yathasthit Bharatiya Dand Sahita, 1860 (1860 ka sa. 45) mein diye gaye hain.
Study data processing for this section.
PDF: pending for this language.