section 4
Samiti ka gathan, sanrachna, nirarharta tatha krit
The Madhya Pradesh Niji Vyasayik Shikshan Sanstha (Pravesh Ka Viniyaman Evam Shulk Ka Nirdharan) Adhyadesh 2007(1) Rajya sarkar, rajpatra mein adhisuchana dwara, kisi vyavsayik shikshan sanstha mein pravesh prakriya ke paryavekshan tatha margdarshan ke liye sthanon tatha pravesh ke ichhuk abhyarthiyon se prabhavit ki jane wali fees ke nirdharan ke liye ek samiti gathit karegi jise Pravesh Tatha Fees Viniyamak Samiti kaha jayega. (2) Samiti ki adhyakshata sabhapati (Chairperson) dwara ki jayegi jo kisi kendriya vishwavidyalaya ya rajya vishwavidyalaya ya vishwavidyalaya samjhi gayi sanstha ka kulpati raha ho ya aisa varishth prashasnik adhikari raha ho jo rajya sarkar ke pramukh sachiv ya Bharat sarkar ke sanyukt sachiv ki padshreni se nyuna padshreni ka na ho aur iske antargat char anya sadasya honge jinhen vitt, prashasan ya vidhi, takniki shiksha tatha chikitsa shiksha ke mamlon mein visheshagyata hasil ho. (3) Samiti ka karyakal uske adhisuchit kiye jane ki tarikh se tin varsh ka hoga tatha kisi bhi karan se isse purv udbhoot hone wali kisi rikta ki dasha mein, rajya sarkar dwara karyakal ke shesh bhag ke liye aisi rikta bhari jayegi. (4) Samiti ka koi bhi kary ya karyakwahiyaan keval is karan avidhimanya nahin samjhi jayengi ki usmein koi rikta hai ya samiti ke gathan mein koi truti hai. (5) Koi vyakti, jo sahayata pane wali ya sahayata na pane wali niji shikshan sanstha se sanlagna hai samiti ka sadasya hone ke liye patra nahin hoga. (6) Samiti ka sabhapati (Chairperson) ya koi sadasya apne pad par nahin rahega yadi vah aisa koi kary karta hai jisse rajya sarkar ki raye mein uska samiti ka sabhapati ya sadasya ke roop mein bana rahna anupyukt ho gaya hai. (7) Samiti, rajya sarkar dwara is sambandh mein adhisuchit kiye gaye viniyamon ke anusar apni swayam ki prakriya nirdharit kar sakegi. (8) Samiti, sahayata pane wali ya sahayata na pane wali kisi niji vyavsayik shikshan sanstha se ya deemed vishwavidyalaya se vihit tarikh tak aisi jankari prastut karne ki apeksha kar sakegi jaisi ki samiti ko fees ka avadharan karne mein samarth banane ke liye avashyak ho, taisi ki pratyek vyavsayik pathyakram ke sambandh mein sanstha dwara prabhavit ki jayegi aur is prakar avadharit ki gayi fees, aisi kalavadhi ke liye vidhimanya hogi, jaisi ki rajya sarkar dwara adhisuchit ki jaye. (9) Samiti, ismein antarvisht upbandhon ke ullanghan mein pravesh, capitation fees ya avadharit ki gayi fees se adhik fees ke sangrahana ya kisi sanstha dwara labh prapt karne ke sambandh mein shikayaton ko sun sakegi aur yadi samiti janch ke pashchat yah pati hai ki sahayata na pane wale vyavsayik mahavidyalaya ya sanstha ki aur se pravesh ke upbandhon ka ullanghan kiya gaya hai, to vah sambandhit vyakti ko, sangrahit ki gayi adhik rakam ki wapasi ke liye samuchit anushansa karegi aur sarkar ko Rs. 10 Lakh tak ka jurmana adhiropit karne ke liye bhi anushansa karegi tatha sarkar aisi anushansa ki prapti par, pratyek aise ullanghan ki dasha mein jurmane ko nirdharit karegi aur use sangrahit karegi ya aisi anya karwai ke liye vinishchay karegi jaisa ki vah uchit samjhe aur is prakar niyat ki gayi rakam ml par byaj ke sath bhoo-rajasw ke bakaya ke taur par wasul ki jayegi aur samiti kisi vishesh mahavidyalaya ya sanstha mein kinhi ya samast sthanon ke sambandh mein diye gaye pravesh ko gunagun ke vipreet tatha avidhimanya ghoshit kar sakegi tatha sambandhit vishwavidyalaya ko isse san-suchit karegi tatha vishwavidyalaya, aisi sansuchna ki prapti par, aise abhyarthiyon ko pariksha mein upasthit hone se varjit karega evam purv mein di gayi pariksha ke parinam ko nirast kar dega. (10) Samiti ka, yadi yah samadhan ho jata hai ki kisi sahayata na pane wale vyavsayik mahavidyalaya ya sanstha ne is adhyadesh ke upbandhon mein se kisi upbandh ka ullanghan kiya hai, to vah rajya sarkar ke anumodan ke pashchat vishwavidyalaya ya samuchit pradhikari ko aise mahavidyalaya ya sanstha ki sanlagnta ya manyata wapas lene ke liye anushansa kar sakegi ya koi anya karwai karne ka vinishchay kar sakegi jaisa ki vah uchit samjhe. (11) Samiti ko, uske kriton ke nirwahan mein udbhoot hone wale samast mamlon mein apni swayam ki prakriya viniyamit karne ki shakti hogi aur is adhyadesh ke adhin koi janch karne ke prayojanon ke liye civil prakriya sanhita, 1908 (1908 ka 5) ke adhin nimnalikhit mamlon ke sambandh mein, jab vah kisi vad ka vicharan kar rahi ho, civil nyayalaya ki samast shaktiyan hongi: (ka) kisi sakshi ko summon karna tatha hajir karna tatha shapath par uski pariksha karna; (kha) kisi dastavez ka pradvidikaran aur pesh karne ki apeksha karna; (ga) shapath-patron par sakshya lena; (gha) sakshiyon ki pariksha ke liye commission jari karna. (12) Samiti yah sunishchit karegi ki kisi sanstha mein pravesh uchit aur pardarshi rit mein kiya gaya hai.
Study data processing for this section.
PDF: pending for this language.