Bare Act
The Jharkhand Advocates' Clerks Welfare Fund Act, 2018
0. Preamble
झारख ड गजट असाधारण अंक
झारख ड सरकार वारा का शत
16 अ हायण, 1940 (श०)
सं# या– 1086 राँची, श
ु
*वार, 7 ,दस.बर, 2018 (ई०)
व ध ( वधान) वभाग
22222222222 अ3धस ू चना 26 अ6ट ू बर, 2018
ू बर, 2018 को अन ु म:त दे च ु कAं है, इसके वारा सवDसाधारण कA स ू
चना के लए का शत Fकया जाता है ।
झारख(ड अ धव ता +ल पक क.याण 0न ध अ ध0नयम, 2018 (झारख(ड अ ध0नयम, 16, 2018) वषय स ू ची
उIे शका धारा
1. Short title, extent and commencement
(1) Yeh Adhiniyam Jharkhand Advocate Clerk Kalyan Nidhi Adhiniyam, 2018 kahlayega. (2) Iska vistar sampurn Jharkhand rajya mein hoga. (3) Yah rajya sarkar dwara adhisuchna nirgat kar is nimitt niyat tithi se pravritt hoga. (1) This Act may be called The Jharkhand Advocates’ Clerks Welfare Fund Act, 2018. (2) It extends to the whole of the State of Jharkhand. (3) It shall come into force on such date as the State Government may, by notification, appoint in this behalf.
2. Definitions
Jab tak sandarbh mein anyatha apekhit na ho tab tak is adhiniyam mein: (ka) ‘Advocate’ se abhipret hai vah vyakti, jiska nam Bharatiya Vidhi Parishad Niyamavali, 1975 tatha samay-samay par sanshodhit susangat upbandhon ke saath sahpathit Advocate Adhiniyam, 1961 ki dhara 17 ke adhin Jharkhand Rajya Vidhi Parishad dwara taiyar evam anurakshit rajya advocate namavali mein namankit ho; (kha) ‘Advocate Clerk’ se abhipret hai kisi advocate dwara niyojit aur yatha vihit pradhikar evam riti se manyata prapt koi clerk jo advocate clerk sangh ka sadasya ho; (ga) ‘Advocate Clerk Sangh’ se abhipret hai Dhara-13 ke adhin manyata prapt evam nibandhit advocate clerk sangh; (gh) ‘Advocate Sangh’ se abhipret hai advocate/vidhi/vakil ka sangh jo rajya vidhi parishad se manyata prapt/sambandh ho; (ang) ‘Vidhi Parishad’ se abhipret hai Advocate Adhiniyam, 1961 ke adhin gathit Jharkhand Rajya Vidhi Parishad; (cha) ‘Niyojan ka samapan’ se abhipret hai samiti dwara anurakshit rajya namavali se advocate clerk ki sevanivritti ke chalte nam hatana; (chha) ‘Samiti’ se abhipret hai Dhara-4 ke adhin gathit Jharkhand Advocate Clerk Kalyan Nidhi Samiti; (ja) ‘Ashrit’ se abhipret hai Jharkhand Advocate Clerk Kalyan Nidhi ke sadasya ki patni, pati, pita, mata evam avivahit nabalig bacha athva 18 varsh se kam umr ke bachche; (jha) ‘Nidhi’ se abhipret hai Dhara-3 ke adhin gathit Jharkhand Advocate Clerk Kalyan Nidhi; (nya) ‘Sarkar’ se abhipret hai Jharkhand Rajya Sarkar; (ta) ‘Nidhi ke sadasya’ se abhipret hai aisa koi advocate clerk jise nidhi se labh swikrit kiya gaya hai tatha vah is adhiniyam ke upbandhon ke adhin uska sadasya bana rahe; (tha) ‘Adhisuchna’ se abhipret hai Jharkhand Rajpatra mein prakashit adhisuchna tatha ‘adhisuchit’ shabd tadanusar mana jayega; (da) Tadanusar ‘Vihit’ se abhipret hai is adhiniyam ke adhin banaye gaye niyamon ke adhin vihit; (dha) ‘Sevanivritti’ se abhipret hai seva ya kisi anya labhprad pesha mein yogdan karne se bhinn kisi karan ke chalte advocate clerk ke roop mein niyojan ki samapti, jise vihit riti se likhit roop mein sansuchit kiya gaya ho; (na) ‘Sachiv’ se abhipret hai samiti ka sachiv; (ta) ‘Muhar’ se abhipret hai Dhara-12 ke adhin mudrit evam svikrit, Jharkhand Advocate Clerk Kalyan Nidhi ki muhar; aur (tha) ‘Vakalatnama’ se abhipret vakalatnama tatha isme shamil hai hajiri ka gyapan ya koi anya kagazat jiske dwara koi advocate kisi nyayalaya, nyayadhikaran ya anya pradhikar ke samaksh upasthit hone ya abhivachan karne ke liye sashakt banta hai. Kintu rajya sarkar ka pratinidhitva karne wale rajya ke padadhikariyon ke nimitt bhara gaya hajiri gyapan isme sammilit nahin hoga. In this Act unless the context otherwise requires – (a) “Advocates” means a person whose name has been enrolled on the State Roll of the Advocates’ prepared and maintained by the State Bar Council of Jharkhand under section 17 of the Advocates’ Act, 1961 read with relevant provisions of the Bar Council of India Rule,1975 and amended from time to time. (b) “Advocate Clerk” means a clerk employed by Advocate and recognized by such authority and in such manner as may be prescribed and who is a member of an Advocates’ Clerks' Association; (c) “Advocates’ Clerks Association” means an Association of Advocates’ Clerks recognized and registered under section 13; (d) “Advocates Association” means an association of Advocates/Bar/Lawyer recognized/affiliated by the State Bar Council; (e) “Bar Council” means the State Bar Council of Jharkhand constituted under the the Advocates’ Act, 1961; (f) “Cessation of Employment” means removal of the name of an Advocates’ Clerk from the State roll maintained by the Committee on account of his retirement; (g) “Committee” means the Jharkhand Advocates’ Clerks Welfare Fund Committee constituted under section 4; (h) “Dependant” means wife, husband, father, mother and unmarried minor child or children below the age of 18 years of age of a member of the Jharkhand Advocates’ Clerks Welfare Fund. (i) “Fund” means the Jharkhand Advocates’ Clerks Welfare Fund constituted under section 3; (j) “Government” means the State Government of Jharkhand; (k) “Member of the Fund” means an Advocates’ Clerk admitted to the benefits of the Fund and continuing to be a member thereof under the provisions of this Act; (l) “Notification” means a notification published in the Jharkhand official Gazette, and the word “notified” shall be construed accordingly; (m) “Prescribed” means prescribed under the rules framed under this Act; (n) “Retirement” means stoppage of employment as an Advocates’ Clerk for reason other than joining service or for carrying on any other gainful occupation, communicated to an recorded in the manner prescribed; (o) “Secretary” means the the Secretary of the Committee. (p) “Stamp” means the Jharkhand Advocates’ Clerks Welfare Fund stamp printed and distributed under section 12; and (q) “Vakalatnama” means vakalatnama and includes memorandum of appearance or any other document by which an Advocate is empowered to appear or plead before any court, tribunal or other authority. But it shall not include memorandum of appearance filed on behalf of the State Officer representing State Government.
3. Advocate Clerk Welfare Fund
1. Sarkar adhisuchna dwara Jharkhand Advocate Clerk Kalyan Nidhi namak ek nidhi ka gathan karegi. 2. Nidhi mein nimnalikhit rakam jama ki jayegi: (ka) Dhara-12 ke adhin ticketon (stamp) ki bikri se prapt sabhi rakam; (kha) Vidhi Parishad, koi vidhi sangh, koi anya sangh ya sanstha, koi advocate ya koi anya vyakti dwara swechha se kiya gaya daan athva nidhi srijan ke liye diye gaye anshdan se prapt rakam; (ga) Dhara-10 ke adhin udhar li gayi koi rakam; (gh) Nidhi ke kisi sadasya ki mrityu ke pashchat samuh bima niti ke adhin Bharatiya Jeevan Bima Nigam athva kisi anya bima company se prapt sabhi rakam; (ang) Nidhi ke sadasyon ke samuh bima niti se sambandhit Bharatiya Jeevan Bima Nigam ya koi anya bima company se prapt koi labh ya labhansh; (cha) Nidhi ke kisi ansh ke kiye gaye nivesh par prapt koi labhansh ka byaj ya anya labh; aur (chha) Dhara-15 ke adhin ekatrit ki gayi sabhi rakam. (1) The Government shall, by notification, constituted a Fund to be called the Jharkhand Advocates’ Clerks Welfare Fund. (2) There shall be credited to the Fund- (a) all amounts collected by way of sale of stamps under section 12; (b) any voluntary donations or contribution made to the Fund by the Bar Council, any Bar Association, any other Association or Institution, any Advocate or any other person; (c) any sum borrowed under section 10; (d) all sum received from the Life Insurance Corporation of India or any other Insurance Companies on the death of a member of the Fund under a Group Insurance Policy; (e) any profit or dividend from the Life Insurance Corporation of India or any other Insurance Companies in respect of Policies of Group Insurance of the members of the Fund; (f) any interest of dividend or other return on any investment made of any part of the Fund; and (g) all sums collected under section 15.
4. Constitution of Welfare Fund Committee
(1) Sarkar adhisuchna dwara Jharkhand Advocate Clerk Kalyan Nidhi Samiti nam ka ek samiti ka gathan karegi jo adhisuchna mein suvirdisht tithi se pravritt hogi. (2) Samiti ek nigamit nikay hogi jiske paas shashwat utradhikar tatha sampatti ke arjan, rakhne evam niptan ki shakti ke saath ek samanya muhar (seal) hogi aur vah ukt nam se vad chala sakti hai ya us par vad chalaya ja sakta hai. (3) Samiti mein nimnalikhit sadasya honge: (ka) Vidhi Parishad ka adhyaksh; (kha) Sarkar ka pradhan sachiv, Vidhi Vibhag; (ga) Sarkar ka pradhan sachiv, Grih Vibhag; (gh) Sarkar ka pradhan sachiv, Vitt Vibhag; (ang) Jharkhand Uchcha Nyayalaya ka mahanibandhak; (cha) Yathavihit pradhikar evam riti se advocate clerkon mein se nam nirdisht teen sadasya, jin mein se ek ko samiti dwara nidhi ka koshadhyaksh manonit kiya jayega; aur (chha) Sachiv ki bhati evam seva sharton ke sambandh mein samiti dwara banaye gaye viniyam ke anusar adhyaksh dwara niyukt kiye jane wala sachiv; parantu is prakar niyukt sachiv ke paas samiti ki baithak mein mat dene ka adhikar nahin hoga. (4) Vidhi Parishad ka adhyaksh samiti ka paden adhyaksh hoga. (5) Sarkar ke pradhan sachiv, Vidhi Vibhag, Sarkar ke pradhan sachiv, Grih Vibhag, Sarkar ke pradhan sachiv, Vitt Vibhag aur Jharkhand Uchcha Nyayalaya ke mahanibandhak samiti ke paden sadasya honge. (6) Sarkar ke pradhan sachiv, Vidhi Vibhag, Sarkar ke pradhan sachiv, Grih Vibhag, sarkar ke pradhan sachiv, Vitt Vibhag yadi kisi karan se samiti ki baithak mein upasthit nahin ho sakte hain to ve apne apne vibhag se upsachiv star se anyun pankti ke kisi padadhikari ko baithak mein shamil hone ke liye pratiniyukt kar sakte hain. (7) Yadi Jharkhand Uchcha Nyayalaya ke mahanibandhak kisi karan se samiti ki baithak mein upasthit nahin ho sakte hain to ve up-nibandhak star se anyun pankti ke kisi padadhikari ko baithak mein shamil hone ke liye pratiniyukt kar sakte hain. (8) Upa-dhara (3) ke khand (cha) ke adhin nam nirdisht koi sadasya apne nam nirdeshan ki tithi se teen varshon ki avadhi tak athva advocate clerk sangh ke sadasya rahne tak, jo bhi pahle ho pad dharan karega. (9) Sachiv ko nidhi se yatha vihit riti se parishramik ka bhugtan kiya jayega. (1) The Government may, by notification, establish with effect from such date, as may be specified therein, a Committee to be called the Jharkhand Advocates’ Clerks Welfare Fund Committee. (2) The Committee shall be a body corporate having perpetual succession and a common seal with power to acquire, hold and dispose of property and shall, by the said name, sue and be sued. (3) The Committee shall consist of the following members, namely:- (a) The Chairman of the Bar Council; (b) The Principal Secretary to Government, Law Department; (c) The Principal Secretary to Government, Home Department; (d) The Principal Secretary to Government, Finance Department; (e) The Registrar General of Jharkhand High Court; (f) Three members to be nominated from among the Advocates’ Clerks by such authority and in such manner as may be prescribed, of whom one shall be nominated by the Committee as the treasurer of the Fund; and (g) A Secretary to be appointed by the Chairman in accordance with such regulation as may be made by the Committee in respect of the recruitment and conditions of service of such Secretary; Provided that the Secretary so appointed shall not have the right to vote at the meetings of the Committee. (4) The Chairman of the Bar Council shall be the ex- officio Chairperson of the Committee. (5) The Principal Secretary to Government, Law Department, the Principal Secretary to Government, Home Department, the Principal Secretary to Government, Finance Department and the Registrar General of Jharkhand High Court shall be ex-officio members of the Committee. (6) In case the Principal Secretary to Government, Law Department, the Principal Secretary to Government, Home Department or the Principal Secretary to Government, Finance Department, is unable to attend the meetings of the Committee for any reason, he may depute any officer not below the rank of Deputy Secretary to Government to attend the meetings. (7) In case the Registrar General of Jharkhand High Court is unable to attend the meetings of the Committee for any reason, he may depute any officer of his Department, not below the rank of Deputy Registrar to attend the meetings. (8) A member nominated under clause (f) of sub-section (3) shall held office for a term of three years from the date of such nomination or until he cease to be a member of Advocates’ Clerks Association whichever is earlier. (9) The Secretary shall paid such remuneration out of the Fund, as may be prescribed.
5. Disqualification and removal of nominated members of the Committee
1. Dhara-4 ki up-dhara-(3) ke khand-(cha) ke adhin nam nirdisht koi sadasya samiti ki sadasyata se nirarhat ho jayega tatha uski sadasyata samapt ho jayegi, yadi vah- (ka) vikshipt ho jaye; ya (kha) nyay nirnit divaliya ghoshit ho, ya (ga) samiti ki anumati ke bina samiti ki lagatar teen baithakon mein anupasthit rahe; parantu is khand ke adhin sadasyata samapt sadasya ki sadasyata ko samiti dwara vyavartit kiya ja sakta hai, yadi vah sadasya anupasthitati maaf karne ke liye avedan karta hai; ya (dha) nidhi ka dyutkarmi hai (yadi vah nidhi ka sadasya hai) ya usne vishwas bhang kiya hai; ya (ang) charitraheen acharan ke apradh ke liye nyayalaya dwara sandosh thahraya gaya ho, jabtak ki aise sandosh ko apat na kiya jaye. 2. Sarkar kisi aise sadasya ko hata sakti hai jo up dhara-(1) ke adhin samiti ki sadasyata se nirarhat hain ya ho gaye hain. Parantu kisi sadasya ko hataye jane ka adesh tabtak parit nahin kiya jayega jabtak ki sadasya ko sune jane ka avsar na diya gaya ho. (1) A member nominated under clause (f) of sub-section (3) of section 4 shall be disqualified to be a member of the Committee, and shall cease to be such member, if he – (a) becomes of unsound mind; or (b) is adjudged as insolvent; or (c) remains absent without leave of the Committee for more than three consecutive meetings of the Committee, Provided that the members ceasing to hold under this clause may be restored by the Committee, if such member makes an application for the condonation of the absence; or (d) is a defaulter to the Fund ( if he is a member of the Fund) or has committed breach of trust; or (e) is convicted by a criminal court for an offence involving moral turpitude, unless such conviction has been set- aside. (2) The Government may remove any member who is or has become disqualified under sub-section (1), from the membership of the Committee. Provided that the no order removing any member shall be passed unless the member has been given an opportunity of being heard.
6. Resignation by nominated members of the Committee and filling up of casual vacancies
(1). Dhara-4 ki up-dhara-(3) ke khand (cha) ke adhin nam nirdisht koi sadasya samiti ke adhyaksh ko teen maah ki likhit suchna dete hue apna pad tyag kar sakta hai aur jab ukt adhyaksh dwara uska tyagpatra swikrit ho jata hai to uska pad rikt mana jayega. (2) Upa-dhara-(1) mein nirdisht sadasya ki koi aakasmik rikt yathasambhav shighra bhari jayegi aur aisi rikt ke viruddh nam nirdisht sadasya apne purvavarti sadasya ki shesh avadhi ke liye pad dharan karega. (1) Any member nominated under clause (f) of sub-section (3) of section 4 may resign his office by giving three months notice in writing to the Chairperson of the Committee and no such resignation being accepted by the said Chairperson he shall be deemed to have vacated his office. (2) Any casual vacancy in the office of a member referred to in sub-section (1) shall be filled up, as soon as possible and a member so nominated to such vacancy sall hold office for the residue of the term of his predecessor.
7. Acts of Committee not to be invalidated by informality, vacancy, etc.
Is adhiniyam ya etadheen banaye gaye niyam ke adhin samiti dwara kiya gaya koi karya ya ki gayi koi karyavahi keval is karan se avaidhamanya nahin hen: (ka) samiti ke gathan mein koi rikt ya truti; ya (kha) sadasya ke roop mein kisi vyakti ke nam nirdeshan mein koi truti ya aniyamita; ya (ga) aise karya ya karyavahi mein koi truti ya aniyamita ke mamle ke gunaguno ko prabhavit nahin karegi. No act done or proceeding taken under this Act or the rule made thereunder by the Committee shall be invalidated merely by the reason of – (a) any vacancy or defect in the constitution of the Committee; or (b) any defect or irregularity in nomination og any person as a member thereof; or (c) any defect or irregularity in such act or proceeding not affecting the merits of the case.
9. Functions of the Committee
(1) Samiti ka kritya nidhi ka sanchalan karna hoga; (2) Samiti dwara nidhi ka sanchalan is adhiniyam evam etadheen banaye gaye niyamon ke upbandhon ke abhyadheen nimnalikhit roop mein kiya jayega: (ka) Nidhi ki rakam evam parisampattiyon ko rakhna; (kha) Nidhi mein namankan ya punarnamankan ke liye avedan prapt karna tatha prapti ki tithi se nabbe dinon ke bheetar avedan ka nishpadan karna; (ga) Yathasthiti nidhi ke sadasyon, unke manoniton ya vidhik pratinidhiyon se nidhi se bhugtan ke liye avedan prapt karna; (gh) Avedanon ke nishpadan hetu yathavashyak jaanch-padtal karana tatha avedan prapt hone ki tithi se paanch maah ke bheetar uska nishpadan karna; (ang) Avedanon par samiti ke nirnay ki karyavrittipustika ka rakh-rakhav; (cha) Ansuchi mein suvnirdisht daron par avedakon ko rakam ka bhugtan karna; (chha) Yathavihit lekha evam pustika ka sandharan tatha patrika aur varshik prativedan Vidhi Parishad ko bhejna; (ja) Nidhi mein namankan ya punarnamankan athva nidhi ke labh ke dava hetu avedanon se sambandhit samiti ke nirnay ko avedakon ke paas dak pramanan ke jariye sansuchit karna; aur (jha) Is adhiniyam evam etadheen banaye gaye niyamon ke adhin yathapekhit karya karna jisme samiti ke karyalaya hetu karmachariyon ki nyuntam sankhya ka pravdhan karna bhi shamil hai. (1) It shall be the function of the Committee to administer the Fund. (2) The Fund shall be administered by the Committee, subject to the provisions of this Act and rules made thereunder in the following manner:- (a) hold the amounts and assets belonging to the Fund; (b) receive applications for admission or readmission to the Fund and dispose of such applications within ninety days of receipt thereof; (c) receive applications from the members of the Fund, their nominees or legal representatives, as the case may be, for payment out of the Fund; (d) conduct such enquiry as it deems necessary, for the disposal of such applications and dispose of the applications within five months from the date of receipt thereof; (e) record in the minutes book of the Committee its decision on the applications; (f) pay to the applicants amount at the rates specified in the schedule; (g) maintain such accounts books and send such periodicals and annual reports to the Bar Council, as may be prescribed; (h) communicate to the applicants under certificate of posting the decision of the Committee in respect of applications for admission or re-admission to the Fund or claims to the benefit of the Fund; and (i) do such other acts, as are or may be, required to be done under this Act and the rule made thereunder including making provisions of minimum number of staff for the office of the Committee.
10. Borrowing and investment of Funds
(1) Samiti Vidhi Parishad ki purvanumati se is adhiniyam ke prayojanon ko pura karne ke liye samay-samay par apekhit koi rakam udhar le sakti hai. (2) Samiti nidhi ke bhag roop sabhi rashiyan evam praptiyon ko Bharatiya Reserve Bank Adhiniyam, 1934 mein yatha paribhashit kisi anusuchit bank mein jama karegi athva Kendra ya Rajya Sarkar svamitva ya niyantradheen kisi nigam ko rin dene mein athva sarkar ke purvanumodan se Vidhi Parishad dwara samay-samay par yatha nirdeshat riti se nivesh karegi. (3) Is adhiniyam ke adhin bakaya evam bhugateya sabhi rakam aur nidhi ke bandhan evam niyantran se sambandhit sabhi vyay ka bhugtan nidhi se kiya jayega. (4) Samiti dwara niyukt Chartered Accountant samiti ke sabhi lekhaon ki varshik lekha pariksha karenge. (5) Samiti lekha parikshak dwara yatha pramanit sabhi lekha tatha unke lekha prativedan ko Vidhi Parishad ko agsarit karegi tatha Vidhi Parishad samiti ko aisa nirdesh degi jo vah upyukt samjhe. (6) Samiti up-dhara-(2) ke adhin Vidhi Parishad dwara nirgat nirdeshon ka anupalan karegi. (1) The Committee may , with the prior approval of the Bar Council, borrow, from time to time, any sum required for carrying out the purposes of this Act. (2) The Committee shall deposit all moneys and receipts forming part of the Fund in any Scheduled Bank as defined in the Reserve Bank of India Act,1934 or invest the same in loans to any Corporation owned or controlled by the Central Government or the State Government or in any other manner as the Bar Council, may from time to time, direct with prior approval of the Government. (3) All amount due and payable under this Act and all expenditure relating to the management and administration of the Fund shall be paid out of the Fund. (4) The accounts of the Committee shall be audited annually by a Chartered Accountant appointed by the Committee. (5) The accounts, as certified by the auditor together with the audit report there on, shall be forwarded to the Bar Council by the Committee and the Bar Council may issue such direction as it deems fit to the Committee in respect there of. (6) The Committee shall comply with the directions issued by the Bar Council under sub – section(2).
11. Powers and duties of Secretary
(ka) Vah samiti ka mukhya karyapalak pradhikari tatha samiti ke nirnayon ke anupalan ke liye jimmedar hoga; (a) be the Chief Executive Authority of the Committee and responsible for carrying out its decisions; (b) represent the Committee in all suits and proceedings for and against the Committee. (c) authenticate by his signature all decisions and instructions of the Committee. (d) operate the bank accounts of the committee jointly with the Treasurer; (e) convene meetings of the Committee and prepare their minutes; (f) attend the meetings of the the Committee with all the necessary records and information; (g) maintain such forms, registers and other records as may be prescribed from time to time, and do all correspondences relating to the committee; (h) prepare an annual statement of business transaction by the committee during each financial year, and (i) do such acts as may be directed by the Committee.
12. Stamp of Jharkhand Advocates’ clerk welfare Fund
(1) There shall be printed or caused to the printed by the Bar Council in such form and in such manner as may be prescribed, stamp inscribed “the Jharkhand Advocates’ Clerk Welfare Fund”each of the value of Rs. 5. (2) Every Vakalatnama or Memorandum of appearance filed before any Court, authority of tribunal shall affixed with a stamp as specified in sub-section (1) in addition to the Court fee stamps, if any, and stamp to be affixed under any other Acts and no Vakalatnama or Memorandum of appearance shall be valid unless it is so stamped. Provided that this sub-section shall not apply to any Vakalatnama of Memorandum or appearance filed on behalf of the Central or State Government. (3) The person or authority receiving Vakalatnama with such stamp shall forthwith effect cancellation of the stamp by punching out the same. (4) The custody of the stamps printed under this section shall be with the Bar Council and, the supply and sale of stamps shall be in such manner as may be prescribed.
13. Recognition and registration of Advocates’ Celrks Association
(1) An Association of Advocates’ Clerk constituted after the commencement of this Act may, within two months from the date of such constitution, and an Association of Advocates’ Clerk constituted before the recommencement of this Act may, within two months from the dated of commencement of this Act, apply to the Committee in such form and in such manner as may be prescribed, for recognition and registration as an Advocates’ Clerk Association under this Act. (2) Every application for recognition and registration shall be accompanied by the rules or bye-laws of the Association, names and addresses of the office bearers of the Association, and an up-to-date list of the members of the Association with name, address, age and the ordinary place of employment of such member. (3) The Committee may, after such inquiry as it deems necessary, recognize the Association as an advocates’ Clerks’ Association and issue a Certificate of recognition and registration in such form as may be prescribed. (4) The decision of the Committee regarding the recognition and registration of Association shall be final.
14. Duties of Advocates’ Clerks’ Association
(1) Every Advocates’ Clerks’ Association shall, on or before the 15th April of every year, intimate to the Committee a list of its members as on the 31st March of that year – (2) Every Advocates’ Clerks’ Association shall intimate to the Committee of – (a) any change of the office bearers of the Advocates’ Clerks’ Association within fifteen days from such change; (b) any change in number of members including admission and re-admission within thirty days of such change; (c) the death or retirement of any of its members within thirty days from the date of occurrence there of; and (d) such other matters as may be required by the Committee from time to time.
16. Payment from the Fund on cessation of employment
(1) A member of the Fund shall, on cessation of employment, be entitled to receive from and out of the Fund an amount at the rate specified in the Schedule. (2) In the event of death of a member, a consolidated amount of Rs. 50,000 be paid to the nominee or, where there is no nominee, to his dependents. (3) A member of the Fund may withdraw his membership at any time after five years of his admission as a member of the Fund and on such withdrawal he shall be entitled to receive from and out of the Fund an amount at the rate specified in the Schedule and he may also be eligible for re-admission to the Fund as a new member subject to such conditions as may be prescribed: Provided that a member suffering from permanent disablement may withdraw his membership within five years of his admission to the fund. (4) For calculating the period of employment for the purpose of payment under this Act, every four years of employment under Advocate, if any, before the admission of a member to the Fund, shall be computed as one year of employment and added to the number of years of employment after such admission. (5) An application for payment from the Fund shall be made to the Committee in such form as may be prescribed. (6) An application received under sub-section (5), shall be disposed of by the Committee after such enquiry as it deems necessary.
18. Group Life Insurance for members and other benefits.
The Committee may, for the welfare of the members of the Fund- (a) Take from the Life Insurance Corporation of India or any other Insurance Companies, policies of Group Insurance on the life of the members of the Fund; and (b) Provide for medical and educational facilities, and such other benefits, as may be prescribed for the members of the Fund and their dependents.
19. Meetings of the Committee :-
(1) The Committee shall meet at least once in three months or more often if found necessary to transact its business under this Act or the rule made there under. (2) Five members of the Committee shall form the quorum for a meeting of the Committee. (3) The Chairperson or in his absence, a member, elected by the members present at the meeting, shall have power to exercise a casting vote. (4) Any matter coming up before a meeting of the Committee shall be decided by a majority of the members present and voting at the meeting and in the case of equality of votes, the Chairperson or the member presiding over the meeting shall have power to exercise a casting vote.
20. Travelling and daily allowance to members of the Committee :-
The nominated members of the Committee shall be eligible to get such travelling allowance and daily allowances, as may be prescribed.
21. Review.
The Committee may, sou-motu, at any time or on an application from any interested person, within ninety days of any order passed by it, review any such order: Provided that the Committee shall not pass any order adversely affecting person unless such person has been given an opportunity of making his representation.
22. Protection of action taken in good faith :-
(1) No suit, prosecution or other legal proceeding shall lie against any person for anything which is, in good faith, done or intended to be done in pursuance of this Act or any rule made there under. (2) No suit or other legal proceeding shall lie against the Committee or the Bar Council for any damage caused or likely to be caused by anything which is, in good faith, done or intended to be done in pursuance of this Act or any rule made there under.
23. Bar of jurisdiction of Civil Courts :-
No Civil court shall have jurisdiction to settle, decide or deal with any question or determine any matter which is under this Act required to be settled, decided or dealt with or determined by the Committee.
24. Power to summon witnesses and take evidence :-
The Committee shall, for the purposes of any enquiry under this Act, have the same powers as are vested in a Civil Court while trying a suit under the Code of Civil Procedure, 1908 in respect of the following matters, namely – (a) enforcing the attendance of any person or examining him on oath; (b) requiring the discovery and production of documents; (c) receiving evidence on affidavit; and (d) issuing Commission for the examination of witnesses.
25. Power to make rules :-
(1) the Government may, by notification, make rules for carrying out the purposes of this Act. (2) Every rule made under this Act shall be laid, as soon as may be, after it is made, before the Legislative Assembly while it is in session for a total period of fourteen days which may be comprised of one session or two successive sessions and if, before the expiry of the session in which it is so laid or the next session immediately following, the Legislative Assembly makes any modification in the rule or decides that the rule should not be made, the rules shall thereafter have effect only in such modified form or be of no effect, as the case may be, so however, that any such modification or annulment shall be without prejudice to the validity of anything previously done under that rules.
PDF: pending for this language.